Ahmed Nadeem Qasmi
Literary journey started in the 1930s skisr Soon Valley in
western Punjab Khushab, Ahmed Nadeem Qasmi was born 20 November 1916. His
real name was Ahmed Shah. He belonged to the community and Nadeem Awan was the
pseudonym.
He first studied in Attock. Then enrolled in the 1930-31
Government High School Sheikhupura. Ahmed Nadeem Qasmi Maulana Mohammad Ali
Jauhar, a wailing death appeared in the Lahore daily politics. Ahmad Nadeem
began literary magazine “Sawaira” in 1948. Ahmad Nadeem had written numerous
books in his life. He was died in 10 July 2006 at Lahore.
Ahmed Nadeem Qasmi Biography In Urdu
1930 ki dahai mein adbi safar shuro kerney waley Ahmed Nadeem
Qasmi Shumal Magrabi Punjab ki wadi Soon Sekser ke gaon Khushab mein 20
November 1916 ko paida huye. Ahmed Nadeem Qasmi ka asal nam Ahmed Shah tha aur
woh Awan baradri se taluq rakhtey they. Nadeem un ka takhlus tha.
Ahmed Nadeem Qasmi ne Atak (uss waqt campbellpur) mein
ibtada e taleem hasil ki. Phir app ne 1930 1931 mein Government High School
Sheikhupura mein dakhla liya aap ne Maulana Mohammed Ali Jauhar ke
inteqal per aik noha likha jo Lahore ke roznama saisat mein shaya huwa unhon ne
issi saal matric ka imtehan (Matric Exeminaton pass) kiya phir Bhawalpur ke
Sadiq Egerton College mein dakhla kiya aur yehan se B.A pass kiya.
Ahmed Nadeem Qasmi iss waqt ke Badshahi masjid ke Imam
Maulana Ghulam Murshid ke qaribi aziz they jo Ahmed Nadeem Qasmi Lahore laye
aur unhien iss waqt ki shahar ki adbi shaksiyat Sufi Ghulam Mustafa Tabassum se
motaraf karwaya. 1936 se 1938 ka arsa intehai gurbat aur tang dasti ka zamana
tha lakin unhi dino Urdu ke kai maroof shaeron aur sahafyon se shanasai hasil
hui Kirshan Chander aur Minto se dostana marasam paida huya.
Ahmed Nadeem Qasmi ki kahanyon ka pehla majmua “Chopaal”
1939 mein shae hua. Issi saal mahkama excise (excise department) mein inspector
ke taur per bharti huye. Film “Dharam Patni” ke mokalme aur ganey unhon ne 1940
mein likhay lakin yeh film khabi mokammal na hosaki. 1942 mein nokri (job) se
intehai bezar Ahmed Nadeem Qasmi istefa deker Imteiaz Ali Taj ke ashati adarey
mieh shamil ho gae jahan unhien bachchon ke resalay “Phool” aur khawateen ke
magzin “TahzeebNuswan” ki adarat ke faraiz sonpay gae who 1943 mein maroof
jaeeday “Adab Latif” ke aditer baney.
“Adab Latif” mein Minto ki kahani “Boo” ki ashat ke bas
unhien 1944 mein Moqadme ka samna kerna para unhon ne 1946 mein adab latif ki
adarat chordi issi baras unka majmua kalam” Jalal o Jamal” shae hua iss se
pehley app ka shari majmua Dharken” aur tarajum ka aik majmua shae ho chuka
tha. Zila Sergodha mein un dino Uninest parti ka bara zor tha lakin Ahmed
Nadeem Qasmi ne us ke moqabil Muslim leag ki tanzeem o tosi mein barh char ker
hissa leya.
Issi baras Radio Pakistan Peshawar mein station
director ke bahot israr per wahan Secretariat riter ke tor per molazim ho gae
1947 mein unhon ne Radio Pakistan Peshawar ke leyeh bahot se Qaumi nagme, Mili
geet aur hub e watan ke mozu per fitchur aur darame tahreer ke aur tera aur
chouda August ki darmiyani shab ko unhi ka oikha hua auwaleen Qaumi Nagma Radio
Pakistan se nashar hua.
Ahmed Nadeem Qasmi ne 1948 mein adbi magzines “Sawera”shuru
keya1948 aur 1949 mein Peshawar Radio ki nokri chor ker woh Lahore wapis agaey
aur adbi resale Naqus ki adarat shuru ki. Taraqi pasand adebon ki Anjuman ke
leay din rat kam kea aur Anjuman ki Pakistan shakh ke Jeneral Secretary
muntakhib huey. 1963 mein unhon ne apney adbi resala’Fanoon’ ka ajra kea jo ajj
tak shae hota hai. Adbi resalon ke sath sath woh sahafat se bhi wabista rahey
woh kuch arsa Imtiaz Ali Taj ke resaley “phool aur Tahzeb Nuswan” se wabista
rahey aur bad mein taraqi pasand Urdu Ikhbar “Amroz”ke leay fakahi colum
likhtey rahey colum nigari mein Abdul Majed Salk ko apna ustad mantey they.
Ahmed Nadeem Qasmi ka colum Punch Daria ke anwan se tawel arsa tak Amroz mein
shae hota raha.
Bad mein woh iss Ikhbar ke modir moqarrar hogaey lakin jab
1959 mein iss adarey ko Jeneral Ayub Khan ne sarkari intezam mein leya to woh
iss se alag ho gaey taham us ke leay “Anqa”ke nam se colum likhtey rahey. Amroz
ke bad Ahmed Nadeem Qasmi Roznama Jang aur bad mein Karachi se nikalney waley
Roznama Huriat mein colum likhtey rahey wafat ke bad se pehley tak woh Roznama
Jang mein colum likh rahey they apni zindagi ke akhri 32 saal woh Lahore mein
adbi adara majlis taraqi adab ke director rahey.
Ahmed Nadeem Qasmi ne 1935 se shayari aur afsana nigari
shuro ki woh Urdu adab mein taraqi pasand tahrek se wabasta huye. Woh 1949 mein
Ahmed Nadeem Qasmi mukhtasar muddat kay liye Anjuman Tarraqi Pasand musanafeen
kay general secretary rahey. 1951 mein Ahmed Nadeem Qasmi Public sefty act ke
tehat nazar band rahay. 1954 mein Unhoon ne Anjuman kay uhday istafa dediya.
October 1958 mein aik saal ke liye woh dobara griftar ( arest ) ker gaye bad e
azan woh Anjuman taraqi pasand mosanfeen se bhi door ho gaey. 1988 mein app ne
Haj ki sadat hasil ki aur bad e Azan kai bar Umrey ke liye bhi gaye 1995 mein
kahanyon ka akhri majmua "Koh Paima" shaya hua issi baras app ki
shayari ki akhri kitab "Baseet" bhi shae hue. 1999 mein
umer bhar ki adbi khidmaat ke silay mein hukumat Pakistan ne Nishan e Imtiaz
deya.
2000 mein Oxford University press ne Ahmed Nadeem Qsmi ki kahanyon ka aik aur angrazi tarjuma shae kiya iss bar Farooq Hasan Motarajam thay. 2002 mein " Mere Hum Safar" shae hue jis mein app ne apney ham asar abebon ke shakhsi khakey likhay thaey aglay baras un kay tanqedi mazameen ka majmua”Pass e Alfaza’ shae hua.
2000 mein Oxford University press ne Ahmed Nadeem Qsmi ki kahanyon ka aik aur angrazi tarjuma shae kiya iss bar Farooq Hasan Motarajam thay. 2002 mein " Mere Hum Safar" shae hue jis mein app ne apney ham asar abebon ke shakhsi khakey likhay thaey aglay baras un kay tanqedi mazameen ka majmua”Pass e Alfaza’ shae hua.
2003 mein Majlis e Taraqi adab ki nazamat se istefa day deal
akin hukumat Punjab ki farmaish per phir se kam shuru ker deya. Ahmed Nadeem
Qasmi ke afsano mein Punjab ke dehaton ki haqeeqat pasandana akasi unka
imtaiazi wasf qarar paya un ke afsano mein chopal,bagolay sailab o girdab,
anchal,ablay, ass pass, darodewar, bazaar e hayat, kapas ka phol, barg e hina,
ghar se ghar tak, sannata, nila patthar, girdab aur tolu o garub shamil haien
un ke afsano mein ghar se ghar tak, kanjri, raees khana, mast bharrai, bahot
mashhur huay.
Ahmed Nadeem Qasmi ne gazal aur nazam dono mein sinfon
mein shaeri ki unki shaeri ke majmuey jalal o jamal aur moheet mashhur haien un
ki shaeri ke kulyat bhi shae ho chukey hien degar majmuon mein shoal’dasht wafa
aur rim jhim shamil haien. 1962 mein un ki aik mashhur hone wali nazam ke chand
misray kuch youn haien. Rait se but na bana aie merey achchay fankar Aik lamha
ko thahar maien tujhay patthar la doon Maien teray samney anmbar laga doon
lakin kon se rang ka patthar teray kam aeyga unhon ne latadad ketabon ke filip
likhay un ke tanqedi mazameen ki ketabon mein adab ki taleem ka masla aur
tahzeeb o fan shamil haien. App nay 10 July 2006 ko Lahore mein
inteqal kiya app ki Begum aur aik Beati Nishat inteqal ker chuki haien
pasmangan mein unka aik beata Noman Qasmi aur Beati Naheed Qasmi shamil haien.
Comments
Post a Comment