Benazir
Bhutto
Benazir
Bhutto was born in 21 June 1953. She was the first daughter of Zulfiqar Ali
Bhutto. She was elected as the Prime Minister 2 times and became the first Muslim
lady who was elected as the Prime Minister. Benazir Bhutto was assassinated on
27 December 2007 in Rawalpindi. Here you will find Benazir Bhutto biography in
Urdu and Roman Urdu.
Benazir Bhutto Biography in Urdu
Shaheed
Benazir Bhutto ko Pakistani siasat mein bohot say log inko mutanaza Shakhsiat
samaghtay rahay aur kuch log to inhain “security risk” qarar datay rahay aur
bohot say log aisay bhi hain jo inn ko Pakistan ki falah-o-baqa Benazir ki
qayadat mein nazar arahi thein aur Pakistan kay charon subon ko Muttahid
rakhnay wali zanzeer thien. Lakin ye aik haqiqat hai kay Pakistani balkay
Islami Mulkon ki siasat mein jo naam aur muqaam Benazir Bhutu nay Hasil kia,
woh kisi aur khatoon kay hisay mein nahi aya. Benazir Bhutto woh wahid khatoon
hain jinhoon nay jadeed tarekh mein bazariya intakhabaat kisi Islami Mulk ki
sarbarh-e-mumlikat honay ka azaaz hasil kia. Awam nay inpar do martaba aitamad
kartay hoye inhain muntakhab kia.
Benazir
Bhutto, Pakistan ki pehli Khatoon Wazeer-e-Azam
Benazir
Bhutto, Pakistan kay pehli muntakhab Wazeer-e-Azam Zulfiqar Ali Bhutto ki sab
say bari bati thien, 21 June 1953 ko karachi mein paida hoye. Ibtadaye taleem
inhoon nay Lady Jennings Nursery School aur Karachi kay Jesus and Mary Convent
mein hasil ki. 10 saal ki umar mein Mari kay Jesus and Mary Convent mein bheg
dia gaya aur iss kay char saal baad America ki Harvard University mein. 1973
mein Harvard University say graduation karnay kay baad inhoon nay Oxford
University mein dakhla lia wahaan say philosophy, Economics, Politics mein
graduation ki. Benazir Bhutto nay doraan-e-taleem Oxford Union kay intakhabaat
mein hissa liya aur union ki president muntakhab hoyein. Apni Post graduate
studies mukammal karnay kay baad 1977 mein watan wapas laut ayein.
5th July
1977 ko Zia ul Haq nay Pakistan mein Martial law lagadia jis ki waja say
Zulfiqar Ali Butto ko takhtadar ka moun dakhna para aur Benazir Bhutto ko
harasat mein lalia gaya. 1979 say 1984 tak ka arsa Benazir Bhutto nay mukhtalif
jaloon mein qeaid-o-band ki sobatain jhaltay mukhtalif muqamaat per nazar band
rehkar guzara. Iss doraan inhun nay 10 mah ki qeaid-e-tanhaye bhe kati. 1984
mein reha honay kay baad woh khud sakhta jila watni kay tehat 2 saal kay lia
England chali gayein. August 1985 mein woh apnay bhi shanawaz Bhutto ki tadfeen
kay lia watan lotein jissay France kay sahar canes mein zahar day kar halaq
kardia gaya tha. Iss kay aik saal kay baad Martial law hatalia janay par
Benazir Bhutto mustaqil tore par Pakistan agayein. 10 April 1986 ko inki wapsi
per Lahore Airport par lakhon logo nay unka isstaqbal kiya wapsi kay baad
unhoon nay poray Pakistan mein raliyaan munaqid ki aur Pakistan People’s Party
ko aik baar phir zinda kardia. 18 December 1987 ko inn ki shadi Asif Ali Zardari
say hoye. Shadi kay baad bhi Benazer, Benazir Bhutto kehlati rahein.
17 August
1988 General Zia ul Haq ki hadsati maut kay baad munaqid honay wali 1988 kay
intekhabaat mein Pakistan People’s Party nay numaya kamyabi hasil ki aur 34
saal ki umar mein Benazir Bhutto Pakistan ki tareekh ki kam umar tareen
Wazeer-e-Azam ban gayein.
2 December
1988 ko Benazir Bhutto Pakistan ki pehli khatoon Wazeer-e-Azam ka halaf uthaya.
Unhon nay apnay pehlay dora-e-hukumat mein 1989 mein Islamabad mein munaqid
honay wali shark sarbarah conference ki sadarat ki, PLO kay numainday ko safeer
ka derja dia, America aur Britannia kay doray kia. Bharat kay saath siyachin
tanazay per muzaqrat kiye aur Pakistan ko dosry martaba dolata-e- mushtarqa ka rukun
banwanay mein kamyabi hasil ki. 1 November 1989 ko Benazir kay khelaf assembly
mein tehreeq-e- adam atemad pesh ki gaye jo nakaam rahi lakin 6, August 1990 ko
Sadar-e-Pakistan Ghulam Ishaq Khan nay 8 wein tarmeem kay tehat apnay
ikhtayarat istamal mein latay howay assemblyan tordein aur Benazir Bhutto ko
uhdah Wazarat-e-Uzma say mazol kardia. 3 September, 1990 ko Benazir Bhutto aur
unkay 10 wazra kay khelaf references pesh kiye gaye aur in kay sohar Ali
Zardari Per kaye muqadmat qayem kar kay inhein jail bhaj dia gaya.
1990 kay
intekhabat mein IJI nay akasariyat hasil ki aur Nawaz Sharif Wazeer-e-Azam
Pakistan banay. Benazir nay Parliament mein Opposition leader ka uhda sambhala.
18 March 1993 ko mulki halaat kay pesh nazar Nawaz Sharif nay apnay sathiyon
samat wazarat-e-Uzma say istafa day dia aur Sadar Ghulam Ishaq Khan nay
assembly tehleel kardi. October 1993 mein honay walay intaykhabat mein Benazir
bhutto ki party nay aik dafa phir aksaryat hasil kar li aur Benazir bhutto
dusri martaba Pakistan ki Wazir-e-Azam kay tour per samnay aiyeine.
Shaheed
Benazir Bhutto kay pahlay dour-e- hukumat ki tarah un ka dosra daur-e-hukumat
bhi saisi adam itmenan aur tanazat say bhar pur tha. Agar chay kai shobah jaat
mein bhetari bhi nazar aie maslan America ki taraf say Pakistan ko blake list
say kharij kar diya gaya, Pakistan aur Hong Kong kay darmiyan shoba-e-tawanaie
mein duniya kay sab say baray mohaiday per dastkhat huye jis ki maliyat sarhay
sath arab dollar the aur France ki taraf say atomi bigly ghar farham karnay ka
wada kya gaya. Inn sab kay bawajud halat ki kashidgi barqarar rahi aur yeh
kashedgi us waqt uroj per pahonch gaie jab Benazir kay chotay bhai Mir Murtaza
Bhutto ko unki apni bahan kay ahde hukumat mein aik intahaye masqooq police
maqblay mein sath sathiyon samat halaq kardia gaya. Murtaza Bhutto ki halaqat
ko sarkari qatal qarar deya geya aur Asif Ali Zardari ko iska zemma dar tehraya
gaya.
5 November
1996 mein Sadar Farooq Ahmed Leghari nay mukhtalif ilzamat kay tayhat Benazir
Bhutto ko unkay uhday say mazol kar deya aur assemblyan tor dein. 1997 kay
intikhabat mein people’s party hayrat angaiz tour per nakam rahi aur qaumi
assembly mein sirf 18 nisahshtain hasil kar sakein. Benazir Bhutto per
mukhtalif moqadmat qaym kar kay adalti karwai ki gae laykin issi dauran woh
mulk say bahar chali gayein aur khud sakhtah jila watni ikhtyar kar li.
Moqadmat chaltay rahay aur Asif Ali Zardari ko 8 sal say zaid arsay ki qeid
bhugatni pari. Yeh baat qabile zikar hai kay iss dauran unpar Pakistani adalton
mein koi ilzam sabit na ho saka.
Nawaz sharif
jab Pervez Musharraf ki “karwai” kay shikar hokar jila watan honay per majbor
huye to iss tajurbay nay unhain aur Benazir bhutto ko bhi bahot kuch sochnay
par majbur kar deya. Mulk mein ayenda jamhuriyat ko farog daynay kay leye unhon
nay apas mein mulaqaton ka aik silsila shuru keya jo ARD kay qayam par muntahij
huwa. ARD nay General Pervez Musharraf ki hukumat kay khelaf bhar pur mazahmat
ka alan keya. Iss daur ki sab say aham paish raft iss waqt hui. Jab 14 May 2006
mein London mein Nawaz sharif aur Benazir kay darmayan “meesaq-e- jamhurait”
par dastakhat huya Jis kay tayhat donon nay jamhuryat ko bahal karnay aur aik
dosray kay khaylaf istaymal na honay ka faisla keya.
Dosri pesh qadmi iss waqt huie jab 28 July 2007 ko Abu Dhabi mein General
Pervez Musharaf aur Benazir Bhutto kay darmeyan aik aham mulaqat huie jis kay
baad people’s party ki chairperson taqriban sarah 8 saal ki jila watni khatam
kar kay 18 October 2007 ko watan wapis ayein to unka Karachi Airport par
faqedul misal istaqbal keya gaya. Benazir Bhutto ka karwan Shara-e-faisal par
Mazar Quaid ki janib barh raha tha kay achanak zordar dhamakay huye. Inn
dhamakon mein paunay do sau kay lag bhag afrad jan bahaq huye aur sankron
zakhmi hoye. Qiamat e sughra kay iss manzar kay dauran Benazir Bhutto ko
bahefazat Bilawal house paucha deya gaya people’s party ki chairperson jab
apnay bachchon (Bilawal, Bakhtawar aur Asifa ) say milnay.
Dobarah.Dubai
gayein to mulk kay andar General Parvez Musharraf nay 3 November ko emergency
nafiz kar di. Yeh khabar suntay hi Benazir Dubai say wapis watan lout ayein.
Emergency kay khatmay,TV channels say pabandi hatanay aur Supreme Court kay
jujus ki bahali ka motalba kartay huye hukumat kay khaylaf tahrek chalanay ka
alan keya. Us waqt tak mulk mein nigran hukumat ban chki thie aur mukhtalif
parteyan intakhabat mein hissah lanay kay mamlay mein bati huye nazar arahi
thein. Iss surat hal mein people’s party nay maidan khali na chornay ki hikmat
amli kay tayhat tamam halqon mein umedwar kharay keye aur kaghzat-e-namzadgi
jama karay. Agar chay ARD kay faislay kay tahat Nawaz Sharif nay bhi intekhabat
mein hissah na lanay ka faisla keya tha lakin Benazir Bhutto nay unhain qayel
keya kay herkaron ko khuli chott na de jaye aur halat khwa kaisay bhi hon,
intekhabat mein hissah zarur leya jaye.
Intekhabat
mein chalaie janay wali mohim kay dauran 27 December 2007 ko Benazir Bhutto
Liaqat bagh Rawalpindi say aik jalsay amm say khitab kar kay bahar nikal rahi
thein kay unki gari par fairing huie aur uskay sath hi aik falak sagaf dhamaka
hua. Benazir Bhutto jo us waqt awam kay purjosh naron ka jawab daynay kay leye
gari kay hawadan say bahar nikli khari thien, buri tarha zakhmi huien aur thori
hi dair mein khaliq-e-haqiqi say jamilien. Shaheed Benazir Bhutto kay saisi
carrier mein kamyabiyan aur na kamiyan khch iss tarah apas mein guthi huein
hain kay unhain yeksar kamyab ya nakam qarar dayna taqreban na mumkin hai. Yeh
albath aik haqiqat hai kay Pakistani saiasat mein un jaysi khatoon saiasatdan
aj tak nahin aiyein aur na shayed ayinda aa sakay unkay walid ki tarah unki
shakhsiyat bhi shahadat kay baad bhi Pakistan ki siasat o tareekh ko motasir
kar rahi hai aur anay walay waqt mein bhi karti rahay gi.
Comments
Post a Comment