Mirza Ghalib
Mirza Asadulallah Khan Ghalib was
born on 27th December 1797 in Agrah. He was a great poet. Ghalib lived a very
difficult life. Ghalib give a new life to urdu language and till now Ghalib is
famous in youngsters, ladies and in elders. Ghalib portray all the human
felling in his poetry and that is the reason people relate them self to his
potery. Ghalib died on 15th February 1869 in delhi. In this page, you will read
Mirza Ghalib Biography, Mirza Ghalib History In Urdu and Roman Hindi.
Mirza Ghalib History In Urdu
Urdu mein ese shura ki kami nahi jo
mukhtalif tabqat mein mukhtalif adwar ke doraan maqbool rahe. Koi nojawanon
mein, koi khawaten mein aur kisi ko umar rasidah logon ki sanad e pasandedgi
mili. Baz fankar maqboliyat aam hasil na kar sake lekin alla elmi o adbi satah
rakhne walon mein maqbol howe. Ghalib un shura mein se hain jin ko har tabqe ne
sar aankon par bethaya lekin Ghalib ki nudrat aur buland khayali ko bayan karne
ke leye ye kafi nahi, kuch aur chaheye wossat mery bayan ke leye, ap yun samajh
len ke Ghalib na hote to koi aur hota lekin wo Ghalib na hota.
Daber ul mulk, Najam ud dola, mirza
Nosha, Asad ulallah Beig Khan Ghalib 27 December 1797 ko Agrah mein peda howe.
15 February 1869 ko Delhi mein Mirza Ghalib ka inteqal howa. Mirza Ghalib ne
bara pur ashob daur dekha jo Saltanat e Mughliya ke zawal e akhir aur angrez ke
mukamal tasalut ka zamana tha. Mirz Ghalib ki zati zindagi bhi masaib se pur
rahi. Ghalib ki shakhsiyat mushkil dor mein parwan charhi. Mirza Ghalib ki
shayari Ghalib ki shakhsiyat se photi hai. Mirza Ghalib ne jis pur ashob daur
mein hosh sambhala, us ka pora adrak, mukamal dukh aur insanon par jo biti, us
ka bayan un ki shayari mein milta hai. Ghalib ki shakhsiyat bayakwaqat admiyat
aur insaniyat ke anasir se malamal thi. Dukhon., shidat e ahsas aur halat ke
jabar se mehfoz rehne ka un ka apna tariqa tha aur ye zindagi se farar nahi
balke us ka samna karne ke liye tha.
Ghalib ne darasal urdu ko zinda
rakha hai. Is zaban mein wo bayan kiya hai jis ki is se qabal nazir nahi milti.
Behad sanjidah mehsosat, afkar aur khayalat ko yun bayan karna ke goya ye mere
dil mein hai, Ghalib ka kamal hai. Jab hum ajz e bayan ka shirak hote hain to
Ghalib ka koi sher humari madad ko ajata hai aur humare dil mka bojh halka kar
deta hai. Is ki wajah ye hai ke saqawat apni batni taqat par zindah rahti hai,
koi kisi ko majbor nahi kar sakta ke “ye zaban apnao ya ye lebas pheno.” Isi
tarah koi ksis ko ye majbor nahi kar sakta ke “falan ko pasand ya napasand
karo.” Ye fard ke zauq, us ki zehni satah aur zarorat ka mamla hai. Ghalib aaj
bhi is liye pasandedah hain ke wo un mehsosta ko jo hamari giraft mein nahi
ate, fankarana aur takhliqi chabuk dasti ke sath bayan kardete hain. Ghalib ki
infaradiyat aur sheri azmat ka sabot ye bhi hai ke un ki ungli tham kar kitne
log bare shair to ban gaye lekin kisi ko un ki tusi qarar nahi deya ja sakta
kyun ke wo apni jagah mukamal shayar hain aur un ka kamal un par khatam ho
gaya.
Betasur aur pur tasur tehrir mein
farq. Likhne wale ki batnisachai aur jhot hi ka hota hai. Jo shakhs apne jazbe,
ahsas, fiqar o khayal mein jitna shaded aur khara ho ga, is ki tehrir o taqrir
isi qadar mosar ho gi. Ghalib ki shairi mein esi shidad e ahsas pai jati hai jo
marizana nahi, is se qonotiyat ka izhar nahi hotabalke ye fikar aur khayal
angez hai. Un ke har sher mein jahan e mani poshidah hota hai. Asal mein
takhliq ka matlab hi ye hai ke jo nahi tha is ko banaya jaye.duniya mein koi
esa fankar nahi howa jo infiradiyat aur naye pan yani originality ke fuqdan ke
bawajod bara ban gaya ho.har fankar ko create ya recreate kana parta hai. Mirza
Ghalib ne shayari mein pora slob hi takhliq kar dala. Humein ese tarz
e shayari se roshanaz karaya jis ki phele koi nazir nahi milti. Un ka “andaz e
bayan aur” hona un ki barai hai. Ghalib ki shayari part dar part aur
teh dar teh kholti chali jati hai.is ki satahein itni ziyadah hain ke aik janib
to un ka sher aam qari ko chota hai, dosri taraf aala adbi zauq rakhne wale is
ki gehri manuyat kea sir ho jate hain. Goya sabhi sar dhunte hain, mushkil
pasandi un ka mizaj sahi lekin sher ki manuyat aur is mein mujod “shairi” is
par havi hoti hai. Falsafyana mozuat ko unhon en jis aasani se sheri takhliq ke
qalb mein dhala is ki misl na un se phele thi, na un ke bad mein, un ki shairi
ki afaqiyat aur lafani hone ke leyeyehi dalil kafi hai ke wo aah ki nasal mein
bhi maqbol hain. Ye nasal kalam e Ghalib ki is manuyat ko pa rahi hai jo is ke
sciencesi dor ki zarorat hai kyun ke Ghalib ki fikar darasal fitrat ke qarib
tar aur sciencesi hai chunacha ye baat herankun nahi honi chaheye ke Ghalib
kisi sarkari sarparasti ke bagheir maqboliyat mein tamam shora se aage hain.
Ghalib ke kalam se shora ko ye sekhna chaheye ke apne dork o batin mein yun
sachai se ameza aur mehsos kiya jaye ke khayal sheri takhliq ban kar baramad ho
aur is mein kahein masnoi pan ka shuba tak na ho. Yehi shairi na sirf apne dor
ki tasveer hoti hai balke mustaqbil mein bhi zinda rahti hai. Leki is ke leye
taqatwar takhliqi shakhsiyat ki zarorat hoti hai kyun ke ye nihayat mushkil
kaam hai.
Ghalib hama jahat takhliqi fankar
the. Mirza Ghalib ki shakhsiyat bari aur ghair mamoli thi. Yehi wajah hai ke un
ka izhar ghair mamoli hota tha. Maslan un ki shairana azmat nasar mein un ki
barai ko kam nahi kar sakti, un ki tamam hi tehriron mein WIT jhalakti hai
lekin nasar nigari mein ye kamal numaya hai. Un mein nasar nigari ka khudadad
johar tha. Jis tarah un ki shairi anokhi hai, un ke khotot bhi nasar nigari ken
aye dor ka aghaz hain. Un ke tarz e tehrir ne khat nawisi ko bilmushafa goftogo
bana deya. Ghalib ne gehre dukh ko mazah aur zarafat ki dhal ke zarye khud par
hawi hone se roka. Un ke khotot is ki waze missal hain. Zarafat ke makhsos
andaz ne un ke khotot ko dilchasp nasar nigari bana deya. Ghalib ki takhliq
taqat ka sab se bara sabot ye hai ke humari tehzib aur humare shaor par Ghalib
ka asar ghalib hai.
"Banti nahi hai, badah o
saghar kahe baghair"
Ghalib par bohat likha gaya hai,
aur likha jata rahe ga, haqeeqat to ye hai ke is azeem fankar par jitna likha
jaye kam hai.
“Warq tamam huwa aur madah baqi hai
Safina chaheye is behr e beqaran ke liye”
Safina chaheye is behr e beqaran ke liye”
Comments
Post a Comment