Patras Bukhari
Ahmed Shah Bukhari Patras was bron
on 1st October 1898 in Peshawar. He was an Urdu humorist, educator and
broadcaster. Patras received his early Education from Peshawar, then he passed
in MA with honorable marks from Government College Lahore. He was also the
Editor of Ravi Magazine. After MA Bukhari received the degree of English Literature
from Cambridge University. Ahmed Shah Bukhari Patras died on 5, December 1958
in Newyork. In this page, you will read the Biography of Ahmed Shah Bokhari
Patras in Urdu and Roman Urdu.
Patras Bokhari In Urdu
Ahmed Shah Bukhari Patras 1 October
1898 mein Peshawar mein peyda hue. Aap ke walid Syed Asad Ullah Shah Peshawar
mein aik Lawyer ke munshi the. Ibtedai taleem Peshawar mein hasil ki aur us ke
bad Government College Lahore mein dakhil hue aur aezazi Numbers ke sath MA
paas kiya. Talib-e-Ilmi ke zamane mein unhe sheyr-o-adab se gehri dilchaspi
thi. Government College Lahore ke Magazine ( Ravi ) ke editor bhi rahe. MA
karne ke bad aap Englistan chale gaey aur Cambridge University se Angrezi Adab
mein degree hasil ki. Wahan ke Teachers ki raey thi ke Bukhari ka ilm is qadar
farakh aur wasee-o-baseet hai ke aik Angrez ke liye bhi itna ilm is umar mein
rakhna kam-o-besh na mumkin hai.
Pakistan wapis aane par Central
training College aur phir Government Collge mein angrezi adbiyat ke professor
rahe. 1937 mein All India ka department qaiym hua to Bukhari ki khidmat Mustaar
li gae. Aur wo 7 baras tak bataur director munsalik rahe.Qeyam-e-pakistan ke
bad aap Lahore aa gae aur Government College Lahore ke principal muqarrar hue.
1950 mein aap ko Aqwam-e-Mutehda mein Pakistan ka mustaqil numaiynda bana kar
bheja gaya. Is auhdey par 1954 tak faiyz rahe. 1955 mein Aqwam-e-Mutehda ke
shoaba ittelaat mein Deputy Secretary General muntakhib hue. Aap December 1957
mein retire hone wale the aur Columbia University mein Professor qabol kar
chuke the. Magar maut ne mohlat na di aur 5 December 1958 ko subha Newyork mein
harkat-e-qalb band ho gai. Maut ke 45 baras bad marhoom ko hukoomat Pakistan ne
hilal imtiyaz ke aezaaz se nawaza.
Der ayad durust ayad ke misdaq
agarcha is aezaaz ko ilmi-o-adbi halqon mein khush aamdeed kaha gaya, lekin
haqeeqat yeh hai ke Patras ki shakhsiyat aise aezazaat se mawraa thi. Yeh
fakhar to khud hilal-e-imtiaz ko hona chahiye ke use Patras jaisi azeem
shakhsiyat ke seeney par sajne ka mauqa mila. Patras Bokhari sahi maeyno mein
aik hama geer shakhsiyat the. Who beyk waqt aik mazah nigar, aik ba-zameer
sahafi, aala mahir-e-taleem, umdah mutarajjim, zeerak naqad, qabil broadcaster
aur aik manjhe hue safaratkaar the. In ki peydaish Peshawar ke aik ilmi gharane
mein hui. Urdu, Persian aur English par unhe school he ke zamane mein khasi
dastaras hasil ho gai thi. English itne durust tallafuz ke sath bolte the ke
school ki aik taqreeb mein soba-e-sarhad ke angrez Chief Commissioner Sir
George Compel be ikhteyar keh uthe : “ Kash main bhi is rawani aur maharat se
Pashtu bol sakta. ”
Ahmed Shah Bukhari ne Govt.College
Lahore mein maroof usatza ki sarparasti mein taleem hasil ki aur College ke
maroof muhalley “ Ravi ” ki adrat sambhali. Yehi se likhne likhane ka baqaiyda
aaghaz hua. Bad mein civil aur military ke mazameen ki ashaat shuru hui. Aala
taleem ke liye Cambridge gae to angrezi sheyr-o-adab ko is ke asal mahaul mein
janchne, parakhne ka mauqa mila. Yehin unhe yeh khayal aya ke angrezi ke cheda
cheda adab paron ko Urdu ke qalib mein dhalna chahiye. Hindustan wapis aa kar
unho ne kae qarebi doston ko tarjumey aur taleef ke kaam ki taraf raghib kiya.
Unhe is baat ka shadeed aehsaas rehta tha ke “ Gesoey Urdu abhi Mannat
Pazeer-e-Shana hai. ”
1947 mein Bukhari is danta kil kil
se yun azaad ho gaey ke unhe Govt.College Lahore ke Principal ka auhda pesh
kiya gaya. Jo unho ne bakhushi qabool kar liya. In ka khayal tha ke
Govt.College ke ilmi-o-adbi mahaul mein unhe Gesoey Urdu sanwarne ki derena
khuwahish pori karne ka mauqa muyassar aaega. Lekin unhe dinon Liaquat Ali Khan
ki nigah jo har shinas Bukhari par parh gai aur wo apne awwaleen daura America
mein aik Pakistani tarjuman ke taur par Bukhari ko sath le gae.
Aur aakhir mein zikar hai is mazmoon ka jo mukhtalif kitabon ke nisab mein shamil rehne ke sabab in ka maroof tareen mazmoon hai. Naam to hai is ka “ Marhoom ki yad mein ” lekin is ki aik mukhtasir shakal “ Mirza ki Bicycle ” ke unwaan se High School ke Urdu nisab mein arsaa daraz tak shamil rahi hai. Is mazmoon mein aik purani aur phatichar cycle ka naqsha is khobi se khencha gaya hai ke parhne wala khud ko amlan is cycle par sawari karta hua mehsoos karta hai.
Mukhtasir zakhamat ke is majmooey ki badaulat Patras ka naam Urdu adab mein hamesha zinda rahega.
Aur aakhir mein zikar hai is mazmoon ka jo mukhtalif kitabon ke nisab mein shamil rehne ke sabab in ka maroof tareen mazmoon hai. Naam to hai is ka “ Marhoom ki yad mein ” lekin is ki aik mukhtasir shakal “ Mirza ki Bicycle ” ke unwaan se High School ke Urdu nisab mein arsaa daraz tak shamil rahi hai. Is mazmoon mein aik purani aur phatichar cycle ka naqsha is khobi se khencha gaya hai ke parhne wala khud ko amlan is cycle par sawari karta hua mehsoos karta hai.
Mukhtasir zakhamat ke is majmooey ki badaulat Patras ka naam Urdu adab mein hamesha zinda rahega.
Books:
Farmuda e Patras
Mazameen e Patras
Patras K Mazameen
Comments
Post a Comment